
Shakeel Badayuni
hazar qaid-e-javan se chhut kar bahar ka aasra karenge
bahar bhi ham qafas-zadon ko na raas aai to kya karenge
ab aur is ke siva na hogi qafas men taskin-e-dil ki surat
chaman ki janib nazar utha kar kabhi kabhi hans liya karenge
ye kya khabar thi ki sham-e-furqat mire liye sazgar hogi
vo mah-o-anjum ki aad le kar mire fasane suna karenge
nigah ki bandishen salamat junun ki pabandiyan musallam
kahin bharam khul gaya to ai dil main kya karunga vo kya karenge
ye dekhna hai ki baad-e-tark-e-taalluqat ai ‘shakil’ kab tak
na koi ham par jafa karega na ham kisi se vafa karenge

Leave a Reply