
Jigar Moradabadi
lakhon men intikhab ke qabil bana diya
jis dil ko tum ne dekh liya dil bana diya
har-chand kar diya mujhe barbad ishq ne
lekin unhen to shefta-e-dil bana diya
pahle kahan ye naaz the ye ishva o ada
dil ko duaen do tumhen qatil bana diya

Leave a Reply