
Jaun Eliya
be-qarari si be-qarari hai
vasl hai aur firaq taari hai
jo guzari na ja saki ham se
ham ne vo zindagi guzari hai
nighare kya hue ki logon par
apna saaya bhi ab to bhari hai
bin tumhare kabhi nahin aai
kya miri niind bhi tumhari hai
aap men kaise aauun main tujh bin
saans jo chal rahi hai aari hai
us se kahiyo ki dil ki galiyon men
raat din teri intizari hai
hijr ho ya visal ho kuchh ho
ham hain aur us ki yadgari hai
ik mahak samt-e-dil se aai thi
main ye samjha tiri savari hai
hadson ka hisab hai apna
varna har aan sab ki baari hai
khush rahe tu ki zindagi apni
umr bhar ki umid-vari hai

Leave a Reply