
Poet
tujhe kuchh yaad hai pahla vo aalam ishq-e-pinhan ka
shigaf-e-parda se kya tha ishara chashm-e-fattan ka
suna hai kab ye chhutti hai pakad gosha na daman ka
samajh kajal na phaila saaya hai teri hi mizhgan ka
yahan dam khinchna do dopahar mushkil hai ho jaata
dhuan ghatta hai jab siine men apni ah-e-sozan ka
na ki ghamza ne jalladi na un ankhon ne saffaki
jise kahte hain dil apna vahi qatil hua jaan ka
shigaf-e-sina se az-bas-ki dud-e-dil nikalta hai
siyah ab ja-ba-ja se rang hai apne gareban ka
ye dil hai qatra-e-khun se bhi kam allah ri jurat
hua hai tispe ru-kash us khadang andaz mizhgan ka

Leave a Reply