• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Faqirana Hai dil Muqim Uski Rah Ka

Faqirana Hai dil Muqim Uski Rah Ka

insha-allah-khan-insha

Insha Allah Khan Insha

faqirana hai dil muqim us ki rah ka

gharaz kya ki muhtaj ho badshah ka

khadang aah ka ai falak be-tarah hai

bharosa tu taron ki mat kar zirah ka

kharabat ki jab se lazzat padi hai

chhuta baithna masjid-o-khanqah ka

tavaf-e-haram tujh ko zahid mubarak

mira aur tera nahin saath rah ka

sanam-khana jaata huun tu mujh ko nahaq

na bahka na bahka na bahka na bahka

tire munh se kuchh bu jo aati hai mai ki

dimagh-e-dil us vaqt jaata hai mahka

raqibon ke dil chaak misl-e-katan hon

guzar us taraf ho agar apne rah ka

tiri ashnai men kya ham ne paaya

diya naqd-e-dil aur apni girah ka

chamak kar tu ai barq mat maar chashmak

to maston ki atish ko mat aur dahka

tabhi lutf hai saqiya mai-kashi ka

ki tu bhi bahak aur mujh ko bhi bahka

kabhi tujh se ‘insha’ ne bosa na manga

gunahgar hai vo faqat ik nigah ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere Mughanni Tujhe Kya Ho Gaya

aal-e-ahmad-suroor

Fughan-E-dard Mein Bhi dard Ki Khalish Hi Nahin

Ai Meri Jaan Tujhe Aur Badalna Hoga

Ajab Andaz-E-Mahfil Ho Raha Hai

Ab Mujhe Ghair Ke Aaghosh Mein Khote Hue Dekh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2026 · Urdu Poet