
Parvin Sheer
kuchh saath diya mera dava ne na dua ne
ab jaaen kahan dhundne jiine ke bahane
farhad bhi vaqif nahin ab koh-kani se
be-kar hain farsuda mohabbat ke fasane
is dida-e-pur-nam men hai raqsan tira partav
mahtab lutata hai samundar pe khazane

Leave a Reply