Nigahey yaar Nigahey yaar ney kuch iis tarah sey dekhaa
bersooN sey kerna ho kuch bayaan jesay
rook ker uska kuch is tarah nuzrein milana
ankhoon mein hi ho sub kuch ayaaN jesay
kiyyoon na samujh saka derd bheri sada uski
aushke bharii ankhein thein wazih nishaan jeysay
jee raha hoon khamosh sadaa-ooN mein
aub tu her aahut pey uska ho gumaan jesay
honthooN ki lerzish ney dehlaa key rukh dala
ho dil-shikastah koi aseeray zamaan jesay |