
05-09-2008, 02:30 AM
|
 | Senior Member | | Join Date: Mar 2008 Location: kuwait
Posts: 570
Thanks: 22
Thanked 14 Times in 11 Posts
Rep Power: 1 | |
Mujhay is zindagani say koi shikwa nahin lekin Mujhay is zindagani say koi shikwa nahin lekin Zara si bay sakooni hai Najany kyun meray dil main Ajab aik khauf rehta hai Mujhay mehsoos hota hai Keh meray dil kay darwazay pe Teri yaad ki dastak main wo shiddat nahin baqi Bohot hi khaas batain hain Jo mujh ko aam lagti hain Meray dil main unhain sun ker koi toofan nahin uthta Teri aankhain, tera chehra, teri aawaz ki rim jhim Sabhi kuch khwab lagta hai Mujhay mehsoos hota hai Sunehri titliyon jesay Wo sub khush rang say sapnay Meray lafzon kay phoolon per Bohot din say nahin bethay Mujhay mehsoos hota hai Samay ki taiz lehron nay Hamaray rait kay kachchay ghar gharonday tor dalay hain Mujhay un taiz lehron say Sunehri titliyon say Sabhi khush rang sapnon say Koi skhikwa nahin lekin Zara si bay sakooni hai Mujhay mehsoos hota hai Tumharay dil kay darwazay pe meri yaad ki dastak Meri jaan ab nahin hoti Meri jaan ab nahin hota Keh meri yaad aaye to Tumhari aank bhar aaye Dua’ain mangtay lamhay Mujhay tum bhool jati ho Magar phir muhay tum say Koi shikwa nahin lekin Ajab si bay sakooni hai Anab aik khauf hai dil main Main tum ko bhool jaon ga …….. !!!!  |