
05-09-2008, 01:49 AM
|
 | Senior Member | | Join Date: Mar 2008 Location: kuwait
Posts: 570
Thanks: 22
Thanked 14 Times in 11 Posts
Rep Power: 1 | |
Bicharne walay,,,Chalay jo ho to bata k jao Bicharne walay Chalay jo ho to bata k jao Keh kitni shaamein udaas aankhon main kaatni hein Keh kitni subhain akelay pan mein guzaarni hein Bata k jao Keh kitne sooraj azaab rastoon ko dekhna hai Keh kitne mehtaab sard raatoon ki wusaton se nikaalne hein Bata k jao keh chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai Bata k jao keh kitne lamhay shumaar karne hein hijr raton ke Keh kitne mousam aik aik kar k judaiyon mein guzaarne hein Bata k jao keh panchiyon ne akele pan ka sabab jo poocha Tou kaya kahoon ga? Bata k jao ..main kis se tera gila karoon ga Bichar kay tujh se habib..kis se mila karoon ga Bata k jao keh aankh barsi to kon moti chuna karay ga Udaas lamhon mein dil ki dharkan suna karay ga Bata k jao k mousamon ko payam dene hein ya nahee hain Fallk ko, taron ko, jugnu’on ko salam dene hein ya nahee hain Bata k jao k kis pe hai aitebaar karna To kis ki baaton pe be-niazi kay silsale ikhtiyar karna Bata k jao k abb ravviyoon ki chaal kiya ho Jawaab kiya ho, sawaal kiya ho Arooj kiya ho, zawaal kiya ho Nighah, rukhsaar, zulff, chehra ..nidhaal kiya ho Bata k jao keh meri halat pe chandni khikhila pari to main kya karoon ga Bata k jao k meri soorat pe teergi muskara parri tou Main kiya karoon ga Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai Bicharr k tujh se ye waqt kaise guzaarna hai Ujaarna hai? nikhaarna hai? Chalay jo ho tou bata kay jao kay loutna bhi hai ya................????????  |