


Humko kiske gam ne mara yeh kahani phir sahi kisne tora dil hamara yeh kahani phir sahi Dil ke lutne ka sabab pucho na sabke samne
naam aayega tumhara yeh kahani phir sahi
Nafrton ke teer kha kar doston ke shahar mein
humne kis kis ko pukara yeh kahani phir sahi
Kya batayen pyar ki bazi wafa ki raah mein
kaun jita kaun hara yeh kahni phir sahi