Najanay kasi hawa chali hay
k sheher saara badal gaya hay
kisi ki ankhain badal gayeen hain
kisi ka chehra badal gaya hay
haseen din thay
jameel raatain
na khatam huti thi apni baatein
ajab chup si theher gai hay
woh jab say lehja badal gaya hai
fizain be noor ho rahi hain
hawain chup chap ro rahi hain
bas ek judai say apnay ghar ka
tamaam naqsha badal gaya hai