No umar siyad zada,seena kushada,neak chalan or seedha sadha,lamba kam or past ziyada,husan ka dildada,shaadi par amaada,khoobsoorat jowan,aala khandaan,ursa se pareshaanke liy aek haseena misle khoor,nasha shabaab main choor,chishm-e-makhmoor,chahra parnoor,baatamiz,baashaoor,baahunar saleeqamand,soom-o-salat ki paband,baa udab baa khiya,sabqa skoonat zila kho giya,na shaiq surkhi-o-kareem maamool taalim,mah jabeen,behad haseen,parda nasheen,baqeed-e-had pista qad,aahista kharaam,shaa hishta kalam,piyara sa naam,ujooba kainaat,rafeeqa hiyaat darkaar hai warna zindagi beqaar hai.mashari yaa chaarpai,roi bhari razai,chand zewar talai,kuch kursiyan or mez bus as qadar jahez,larka go unarhi hai,magar karobari hai.aek choti se dokan or moon main zaban rakhta hai.mazeed baat cheet baalmshafa yaa bazariya lafafa,khat-o-katabat pabandi sega raaz hai!yaa aarzah dil ke aawaz hai,
house no-char so bhees(420)
street no-no do giyara(9211)
heraan chok,pareshaan manzal