Yeh jaatay baras ke aakhri lamhay
Guzarti saa'aton ke dhundelkay
Aur
Palkoon pe yaadon ke sitaray
Pal bhar ko yun laga jaisay
Unhi yaadon unhi kahaaniyon ke beech
Waqt tham sa gaya ho jaisay
Woh jo chiraagh,dil,aankh jala tha roshni ke liye
Madham hogaya ho jaisay
Aur jo dariya muhabbaton ka tha
Ab utar gaya ho jaisay
Aakhri shaam ka doobta suraj
Kuch keh raha ho jaisay
Un chaahaton ka suraj bhi
Doob raha ho jaisay
Magar ab dil mein yaadon ke siwa
Aur aankh mein aanso'on ke siwa
Aur bacha hi kya hai
Jo ab aakhri saa'aton ke naam karon
Woh sab chahatain aur sab muhabbatain
Aur un muhabbaton ki saari shiddatain
Sab kuch tou ussi ke naam kar diya tha
Haan, magar ab tak yaad hai
Us wakt bhi suraj yunhi doob raha tha
Aur... woh bhi
December ki aakhri sard shaam thi
Jab us ne dheeray se kaha tha
"Naya Saal Mubarak"... !!!