Ab na peenay ki qasam khai thi ,main nay kal " Ab na peenay ki qasam khai thi ,main nay kal
Aaj yeh kehtay hain ke, peelo kal aaiy gi kal
Istrah laaj rakhi, saqi ne meri , maikhanay main
Samnay rkhay howey sagher ko dia usnay badal
Unkay ghussay pe mujhay piyar bhut aata hay
Kitnay ghussay se woh kehte hain, chal hut pagel
Yaksaan se kiya raste, meray gher jatay hain
Bhool kay or kisi rah na woh, jaain nikal
"burq" saya hi mere saath hay, mushkil main
Verna, kaanton say bhara hay, ye sara jangel |