baghawat main mar gia Dukh to nahin k tanha masafat main mer gia
Acha hua main tayri rafaqat main mer gia
Haakim khud apnay ehd e hakoomat main mer gia
Zinda wohi raha jo baghawat main mer gia
Kuch nafratoN ki nazr hua mayra yeh wajood
Baaqi jo bach gia tha muhabat main mer gia
Mujh ko kabhi hisaar main kub lay saka koi
Main is liay bas apni hiraasat main mer gia
Ab to yeh baat tum ko bohat nagawaar hy
Laykin agar kabhi main haqeeqat main mer gia?
Us ki muhabaton ka razi zikr kia karooN
Itna sakooN mila k aziyyat main mer gia |