Teri adaon ka hua main deewana is kadar,
na waqt ka hosh na khud ki khabar,
na bhuk lage na pyaas bas intezar rahe tere didaar ka,
har jagah har pal tujhe ji dhundti rahe meri nazar.
Padi jo ek nazar hum dekhte reh gaye,
vaar hua katil muskaan ka hum madhosh ho gaye,
chahat ki chandani mein bheega yun tan badan,
hum kali se gulaab ho gaye.
Gaalon par laali nazron mein haya,
hai dhadkano ko intezar zindagi ane ko hai,
behke hai kadam shaam ne odi taaron ki chunariya,
umange hai jawan betaabiya machalne ko hai.
Liked it?
Wanna read more?
then visit:-
ehsaas....Mera saaz, Dil ki awaaz