aaye kyaa kyaa yaad nazar jab pa.Dtii un daalaanoN par aaye kyaa kyaa yaad nazar jab pa.Dtii un daalaanoN par
us kaa kaaGhaz chipkaa dekhaa ghar ke roshankhaanoN par
aaj bhii jaise shaane par tum haath mire rakh detii ho
chalte chalte ruk jaataa huuN saa.Dii kii duukaanoN par
barkhaa kii to baat hii chho.Do, chaNchal hai purvaaii bhii
jaane kis ka sabz dubaTTaa phaiNk gayii hai dhaanoN par
shahar ke tapte footpaathoN par gaaNvoN ke mausam saath chaleiN
buuDhe bardag haath saa rakh deiN, mere jalte shaaoN par
saste daamoN le to aate, lekin dil thaa bhar aayaa
jaane kis kaa naam khudaa thaa, peetal ke gaadaanoN par
us kaa kyaa man bhed bataaouN, us kaa kyaa andaaz kahuuN
baat bhii merii sunnaa chaahe, haath bhii rakkhe kaanoN par
aur bhii siinaa kasne lagtaa, aur kamar bal khaa jaatii
jab bhii us ke paaoN phisalne lagte the dhalvaanoN par
sh'er to un par likkhe lekin auroN se mansoob kiye
un ko kyaa kyaa Ghussaa aayaa, nazmoN ke unvaanoN par |