View Single Post
  #1 (permalink)  
Old 03-13-2008, 10:28 AM
hotkhan's Avatar
hotkhan hotkhan is offline
Moderator
Points: 6,361, Level: 52
Points: 6,361, Level: 52Points: 6,361, Level: 52Points: 6,361, Level: 52
Activity: 12%
Activity: 12%Activity: 12%Activity: 12%
 
Join Date: Oct 2007
Posts: 1,529
Thanks: 38
Thanked 19 Times in 19 Posts
Rep Power: 2
hotkhan is on a distinguished road
Default chaa.Nd tanhaa hai aasmaa.N tanhaa

chaa.Nd tanhaa hai aasmaa.N tanhaa
dil milaa hai kahaa.N kahaa.N tanhaa

bujh ga_ii aas chhup gayaa taaraa
thar_tharaataa rahaa dhuaa.N tanhaa

zindagii kyaa isii ko kahate hai.n
jism tanhaa hai aur jaa.N tanhaa

ham_safar ko_ii gar mile bhii kahii.n
dono.n chalate rahe tanhaa tanhaa

jalatii bujhatii sii raushanii ke pare
simaTaa simaTaa saa ek makaa.N tanhaa

raah dekhaa karegaa sadiyo.n tak
chho.D jaayenge ye jahaa.N tanhaa
Reply With Quote

Sponsored Links