Jab Pandhi Saray Urh Jaain. Jab pandhi saray urh jaain,
har simt andhera cha jaay,
jab guzri batain yad aain,
aur beety lamhay tarpaain,
MAT TANHA TANHA GHABRANA,
TUM PAS HAMARAY AA JANA,
jab koi din main sham karay,
ya lab ki hansi badnam karay,
koi dill ki dharkan jam karay,
ya ankh ki neend haram karay,
MAT TANHA TANHA GHABRANA,
TUM PAS HAMARAY AA JANA,
jab reet purani yad aay,
jab mlnay ko b dill chahay,
MAT TANHA TANHA GHABRANA,
TUM PAS HAMARAY AA JANA, |